Re: Timepaas
**
yeh sab to Khaab o Khayaal ban gaye mere liye to.
pichhle 13 mahiinoN se meraa winter chal rahaa hai. yahaN jab spring aanewaali thii to maiN New Zealand chalaa gayaa jahaN DEADMAN winter apni poorii aba o taab ke saath jalwa afroz thaa. phir jab vahaN spring aayaa to maiN Canada vaapas aa gayaa jahaN phir winter apni giraft mazboot kar rahaa thaa :(**
bhool ke bhii mat aanaa bhai idhar. mausam sab se pahle haath milaane ke bajaaye khatiyaa khaRii kar detaa hai. haha
yaa phir Gham e dil hogaa hehe
**4-5 mahina hotaa agar summer to ham kiuN gilaa karte ji ![]()
**
bas jii abhii naashta se faraaghat paayii hai…aap logoN ne apnaa bhojan tanaavul farmaa liyaa?