**
yeh sab to Khaab o Khayaal ban gaye mere liye to. pichhle 13 mahiinoN se meraa winter chal rahaa hai. yahaN jab spring aanewaali thii to maiN New Zealand chalaa gayaa jahaN DEADMAN winter apni poorii aba o taab ke saath jalwa afroz thaa. phir jab vahaN spring aayaa to maiN Canada vaapas aa gayaa jahaN phir winter apni giraft mazboot kar rahaa thaa :(**
bhool ke bhii mat aanaa bhai idhar. mausam sab se pahle haath milaane ke bajaaye khatiyaa khaRii kar detaa hai. haha
yaa phir Gham e dil hogaa hehe
**4-5 mahina hotaa agar summer to ham kiuN gilaa karte ji
**
bas jii abhii naashta se faraaghat paayii hai…aap logoN ne apnaa bhojan tanaavul farmaa liyaa?
Aaiye, aaiye … Bismillah…abhi kuch deir pehley aap hi ka zikr-e-kheir ho raha tha…hum to samjhey ke aap ki fakhta urr gai hey aur aap usey dhoondney nikleiN heiN
**
aa gayaa jii, aa gayaa…maiN ne apne faaKhte ke par katar ke rakkhe huye haiN…kahaN bhaag ke jaayegaa…haaN faaKhtii bhaag saktii hai…uske par nahiiN kaaTe…lol**
**
aji, Canada meN 2-3 maah bhii gat ka summer moyassar aa jaaye to kia kahne, gilaa hii na sab Khatm ho jaave.**
Yes I do agree with that Ehsan bhai but the rain and the cold never really goes away… I have lived there for 10 years and never did I experience once, a summer full of sunshine without rain…
**
nahiiN janaab, yeh is baat par munHasir hai k aap kahaN tashreef farmaa haiN. southern ontario may may be once in every few years we get good long summer but most places there ain’t any good and long summer. for instance, i lived in Newfoundland for 5 years and i didn’t even see 2 months of good summer…no one has even fan in their homes, let alone AC while in southern Ontario where i’m almost all decent homes have AC. this global warming has been affecting weather pattern here for the last 5 years…this past summer i heard was very bad.**
**
aaaaaaaaaawwwwwwwww…par AC meN kia Gham…maujaaN haiN…vaise, garmii meN Ghareeb insaan kaa guzaara ho saktaa hai magar Minus 20 meN bechaaraa mar jaayegaa 30 min ke andar :(**
Mujhay guman guzar raha hay kay woh Ontario kay kisi thanday thaar ilakay main rehtay hain… jahan Toronto say bhee ziyda thand perti hay… khair naseeb apna apna…
Bari dair say mehfil main nazar nahee ayee… unsay kahain ungliyaan herkat kerti raheen tu badan ki hararat bahal rahay gee… kamsay kam dil ko jalanay say tu behter hay!!!