Re: Time Pass*~SALAM SiTam BER ~~
mairay muhallayh maiN maiN na bay shumar aisay ghar daikhay hain aor theek kaha baitoon ka hath hota hay leekin Bivian bhi shamil hoti haiN aab ager aik bivi 24 hours chur chur kray to maaN bhi tang aa kar kah daiti hay ja baita alag ho ja zpni zindagi kharab mat kar …
Haan kaafi cases maiN mom bhi theek naheeN karti haiN aur zulam key phaar toor kar rakh daiti haiN maslan Baitay ko night maiN dair tuk bitha kar rakhna aor maiN aik aurat ko janta hooN jo apnay baitay ko kahti hay door open kar kah so
ajeeb jahil loog
Leekin majority maiN maan baap rul jatay haiN
jahan amrain rahta hay 5 baitooN kay maaN baap nay apna makan baich kar baitoon maiN baant dia phir “BaghbaaN” key tarah zaleel horay phiray kabhi udhar kabhi idhar, even maiN nay un ko kaha kah aap mairay flate maiN rah laiN aik room falto hey mairay pass lekein unhon nay kaha baita loog kia kahaiN gaiay BaitooN kay hotay hoye ghair kay ghar chala gia ![]()