Whole Life,
Because your first love is your MOM & Dad and you can’t forget their love and your love for them. At least for me My love for my parents is endless.
There are someone who completely forget this thing and that’s the shameful thing for them.
Yehi baat MaiN aap ko samjhana Chah raha tha aur donooN reason important haiN Baiti say ziyada pyaar mairay khiyal maiN maaN baap say baithay naheeN kar aktay haiN
aur
Dosri baat Jub baita borhay maaN baaP ko choor kar dosray ghar maiN chala jata hay to un borhay logooN key dil par kia guzarti hogi sirf wohi jaan saktay haiN
maiN naheeN kahta kah baita maaN kay agay peechay sari zindagi phiray leekan kum uz kum uss ko ghar maiN rakhay aur subah shaam haal to pooch sakta hay kah yah bhi mana hona chahiye ?
waisey hum pyaar ko sirf aik he tarf keon lay jatay haiN ? Mairay khiyaal maiN maaN baaP ka pyaar sirf bay gharz hota hay baqi sub kay peechay koi nah koi gharz chupi hoti hay
me bilkul agree kerti hun es se
per log biwion ko blame kerty hein
per me samjti hun yi sab beton ki apni haramzadgi hoti hy
es liay me apni bhaion ko hamesha danti hun
pata nhai mard yi kion samjyta hy k uski biwi puchy
apki maa apki janat ap comapny karo na ap dabao ap khana khailaoapny hath se
vo kry gi to bas uska ikhlaqi farz
usko uski neyat ki jaza mil jaigi
ap apni jannt khod kamao na
mairay muhallayh maiN maiN na bay shumar aisay ghar daikhay hain aor theek kaha baitoon ka hath hota hay leekin Bivian bhi shamil hoti haiN aab ager aik bivi 24 hours chur chur kray to maaN bhi tang aa kar kah daiti hay ja baita alag ho ja zpni zindagi kharab mat kar …
Haan kaafi cases maiN mom bhi theek naheeN karti haiN aur zulam key phaar toor kar rakh daiti haiN maslan Baitay ko night maiN dair tuk bitha kar rakhna aor maiN aik aurat ko janta hooN jo apnay baitay ko kahti hay door open kar kah so ajeeb jahil loog
Leekin majority maiN maan baap rul jatay haiN
jahan amrain rahta hay 5 baitooN kay maaN baap nay apna makan baich kar baitoon maiN baant dia phir “BaghbaaN” key tarah zaleel horay phiray kabhi udhar kabhi idhar, even maiN nay un ko kaha kah aap mairay flate maiN rah laiN aik room falto hey mairay pass lekein unhon nay kaha baita loog kia kahaiN gaiay BaitooN kay hotay hoye ghair kay ghar chala gia