Re: ~~ Kuch apni kaho ... Kuch meri suno ~~
em fit...neha muje u ki cap psnd ayi ha...muje bh laa do na plz
Re: ~~ Kuch apni kaho ... Kuch meri suno ~~
em fit...neha muje u ki cap psnd ayi ha...muje bh laa do na plz
Re: ~~ Kuch apni kaho ... Kuch meri suno ~~
aap meri hee le lo dear:)
Re: ~~ Kuch apni kaho ... Kuch meri suno ~~
nai na...aap ka sath suit kar rai ha...style acha ha...-))
Re: ~~ Kuch apni kaho … Kuch meri suno ~~
aww thank you ![]()
Re: ~~ Kuch apni kaho ... Kuch meri suno ~~
u r welcm dear
**
Haye ![]()
Aik aunty phone per pooch rahi thi ke aap ko apne Abbu jee ki yaad aati hai to Maine kaha “Yaad to unki aati hai jinney bhool jaya kartein hain” Abhi bhi nahin samajh aaye ![]()
**
Re: ~~ Kuch apni kaho ... Kuch meri suno ~~
^ kya kahun ab mein ...
Re: ~~ Kuch apni kaho ... Kuch meri suno ~~
Is deir anyone who can share funny poetry ?
Re: ~~ Kuch apni kaho … Kuch meri suno ~~
Re: ~~ Kuch apni kaho … Kuch meri suno ~~
Re: ~~ Kuch apni kaho ... Kuch meri suno ~~
main bh arz karun...!!!
Tere Pyar Ki Roshni Itni Hai K,
Har Taraf Ujaala Nazar Aata Hai,
Sochta Hon K Ghar Ki Bijli Katwa Don,
Kambakht Bill Bohat Aata Hai. :-)
Re: ~~ Kuch apni kaho ... Kuch meri suno ~~
aik aur khidmat main pesh kya jata hai....
***Pehlay us nay 'mus' kaha, phir 'tak' kaha, phir 'bil' kaha
Is tarah zalim ne mustaqbil kay tuqray kar diay***
Re: ~~ Kuch apni kaho … Kuch meri suno ~~
**^:rotfl:
Good one :k:
**
Arz kiya hai coughahemcough
Tum aa gaye ho
Noor aa gaya hai
Tum aa gaye ho
Noor aa gaya hai
Chalo teenay philam wekhan chaliye :D
Re: ~~ Kuch apni kaho ... Kuch meri suno ~~
LOL .. and I was thinking ke yeh teesra kaun hai ... :D
You have not done the right thing by welcoming me in this poetry forum, I'm so gonna bring down the standards of this place by sharing my collection of crappy shaers : D Here's another silly one:
Mein onu wekhi janda si, o manu wekhi jandi si
Mein onu wekhi janda si, o manu wekhi jandi si
Na paper onu anda si, na paper manu anda si :p
Re: ~~ Kuch apni kaho … Kuch meri suno ~~
^ this was really good … :k: and you are welcome !!!
Re: ~~ Kuch apni kaho ... Kuch meri suno ~~
Tandrusti hazaar naimat hai ...
Jahan tak kaam chalta ho ghiza(food) sey
Wahan tak chahaye bachna dwa(medicine) sey
Agar tuj ko lagey jarey(winter) main sardi
To istimaal ker anday(egg) ki zardi
Jo ho mehsoos medey(stomach) main geerani
To pee ley soonf ya adrak ka paani
Agar khoon(blood) kam baney balgham ziayada
To kha ley gajjar, channey, shaljam ziayada
Jiggar key bal pe hai insaan jeeta
Agar za’af -e-jiggar hai kha papita (papaya)
Jiggar main ho agar garmi dahi kha
Agar aantoun(intestines) main khushki ho to ghee kha
Thakkan se houn agar uzalaat (organs) dheelay
To foran doodh grama garam pee ley
Jo taqt main kami hotio ho mesoos
To misri ki dali multan ki choos
Ziayada gar damaghi hai tera kaam
To kha ley shehad(honey) ke hamra badaam
Agar ho qalb ki garmi ka ehsaas
Murabba aamla kha aur ana-nas(pine apple)
Jo dhukhta ho gala nazley ke marey
To kar namkeen pani ke ghararey
Agar hai dard se dantoun ki be-kal
To ungali sey masooroun per namak mal
Jo bad-hazmi main chahey tu aafaqa
To do ek waqt ka ker ley tu faqa
Mein onu wekhi janda si, o manu wekhi jandi si
Mein onu wekhi janda si, o manu wekhi jandi si
Na paper onu anda si, na paper manu anda si :p
Student : Yoon Fail Jo Karna Tha Pehlay Se Bata Daitay
Hum Sari Kitabon Ko Chulhay Main Jalla Daitay
Koshish To Bohat Ki Thi Nakam Howay Akhir
Haan! Paas To Ho jatay Jo Nakal Kara Daitay
Parche Jo Mile Hum Ko Sab Khali Diye Hum Nien
Ae Kash! Safai Ke Number Hi Dila Daitay
Teacher: Yoon Fail Jo Hona Tha Pehlay Hi Bata Daitay
Abba Se Kaha Hota,Thela Hi Laga Daitay
Koshish To Bohat Ki Thi Nakam Howay Phir Bhi
Haan! Paas To Kar Daitay Jo Akkal Larda Laitay
Parche Jo Mille Tum Ko Sab Khaali Diye Tum Nien
Kaash! Sayahee Se Dhabay Hi Bana Daitay