~*~ Time Pass June 2012 ~*~

Re: ~~ Time Pass June 2012 ~~

“Khair mubaarak!” kaa maqoola maiN ne pahlii baar Pakistanii bhaaiyoN kii zabaanii sunaa…pahle to maiN samajh nahiiN paataa thaa k iskaa asl matlab kia hotaa hai…hamaare Lucknow meN lafz-e-“Khair” lagaane se us baat kii ahmiyat ko kam karnaa samjhaa jaataa hai…is liye, jab koii kahtaa hai k “Khair mubaarak” to mujhe aHsasa hotaa hai k is shaKhs ko ziyaada Khushii nahiiN huii jis waaste Khair kaa izaafii lafz musta’mil kiyaa!

kahne kaa maqsad yeh k…zabaan o bayaan aur tafheem o ifhaam meN aksar zaraa se faasile par maa’nii badal jaate haiN…hai na?