Mera qissa qadrey mukhtalif hey. Mujhey na to pehley apney baarey koi khush-fehmi thi aur na aaj koi guman hey. Jesey PPP ney na to pheley koi karnaama sar’anjaam dia, aur na aaj usey koi surkhaab ka par laga hey… … Lekin KKF sey kisi had tak mustafeed hone ka maoqa zaroor milta raha hey…aur isi waja sey aek, aadh lafz palley parrh jaaey to parr jaey, warna “likhey mu sa aur parrhey khud aa”
abhi abhi to peT bhar ke snacking kii hai…2:30 hrs rah gaye…vaise, ghar laa kar khaane meN kia mazaa? bartan bhii Khud hii dho-o aur plate meN bhii Khud hii Daalo…i like to be served on the table…kabhi kabhaar aise Khaab poore ho jaayeN to kia buraa hai?
nahiiN khaa saktaa na diabetic huN ab sochtaa huN k "KISII KO’ saath le jauauN aur Khud khaane ke bajaaye use khilaa duuN apne Hisse kaa khaanaa :Daapkaa to dinner ho chukaa hogaa na?