main likh rahee hoon kahanee tayree rifaqat ki
jou ho sakay to koe harf moutabar laana
yehi na ho keh musalsal wafa thaka daalay
mouhabatoun main naya pan talash kar laana
ajab faza hay jahan saans lay rahay hain ham
gharoun ko lout kay aana tou chashm-e-tar laana