ye ankh ronay ki shidat se lal thorri hay
malaal hai magar itna malaal thorri hay
bas apnay wastay he fikermand hain sab log
yahan kisi ko kisi ka khyal thorri hay
paron ko kaat dia hay urraan se pehle
ye khof-e-hijer hai,shoq-e-wisaal thorri hay
maza to jab hay k haar k bhi hanste rho
hamesha jeet jana he kamaal thorri hay
lagana parrti hai dubki ubherne se pehle
ghuroob hone ka matlab zawal thorri hay…
Re: THORRI HAY…
thanx g per barra mushkil naam paya :hinna:
Sannan
6
Re: THORRI HAY…

ye ankh ronay ki shidat se lal thorri hay
**Hum ko pata hay machar par gia hoga
**
Re: THORRI HAY…
nai nai behan ne chabho di ho gi 
Re: THORRI HAY…
boht khob Shazia aapa…:k:
PS. kahan hain aj kal nazar hi nai aati ap to 
Sannan
9
Re: THORRI HAY…
:cobra: meri poetry key daad do day dain 
Chashnma laga kar check karain shayad nazar aa jain :cobra:
Re: THORRI HAY…
mera chashma toot gaya hai 
Re: THORRI HAY…
welcome apaa ki jan…ye PS kon hai 
Re: THORRI HAY…
plz mera le lo..shayad lakarr ka bana ha k toot-ta he nai..shayad tumhare lene se ghar wale nawan le dain :hinna: