"ThokareN khaa ke..."

aadaab dosto!

ek Ghazal aap sab kii Khidmat meN pesh hai. ummeed hai pasand aayegii. apnii giraaN-qadr raae se navaaziyegaa.

**Ghazal

ThokareN khaa ke zamaane kii jo pal jaataa hai
qalb us shaKhs kaa faulaad meN Dhal jaataa hai

is jahaaN kii ye rivaayat hai ki apne bhi yahaaN
Ghair ho jaate haiN jab kaam nikal jaataa hai

ghar kahaaN! ek saraae hai ye dunyaa, ki yahaaN
aaj aataa hai jo insaan to kal jaataa hai

taair-e-zeest ko kitne hii jatan se paalo
ek din toR ke pinjre ko, nikal jaataa hai

pech-o-Kham ishq kii raahoN meN haiN kitne, taubaa!
pair rakhtaa hooN kahiiN bhii to phisal jaataa hai

husn se baRh ke Khatarnaak koii cheez nahiiN
ye vo jaaduu hai jo har ek pe chal jaataa hai

kuchh to rishtaa hai mire dil ki fizaaoN se tiraa
yaaN tirii deed se mausam hii badal jaataa hai

mom ke misl hooN itnaa mire nazdeek na aa
garm saansoN se miraa jism pighal jaataa hai

aap se dard-e-jigar aur chhupaaooN kaise!
honT seetaa hooN to aaNkhoN se ubal jaataa hai

yaad-e-maazii se zaraa dard bhale ho ‘Waseem’
chand lamhoN ke liye dil to bahal jaataa hai !!!

Waseem Ahmed**

wah… bouhat khoob dost… :k:

Thanx :slight_smile:

waqee foladee dil behlana mushkil kaam hay

khoob :k:

Thanx