Azad
February 16, 2003, 7:06pm
1
Thi jo muhabaton main Nazakat nahi rahi
Kia ishq kijee’ay keh rewayat nahi rahi
Kehtay that hum keh jee na sakain gay teray baghair
Yeh kia howa keh tujh say muhabat nahi rahi
Ruswayion say barrh to gia zindagi ka boojh
Par yeh howa keh khud say nadamat nahi rahi
Kia nazr dain jo koi naii arzoo karain
Dil main to ttottnay ki bhi himat nahi rahi
Jiss simt ja’iay wahi miltay hain apnay log
Uss ki gali hi ko’e malamat nahi rahi
(Umid ullah Aleem)
Amal
February 16, 2003, 7:13pm
3
Re: thi jo muhabaton main
*Originally posted by Azad: *
Ruswayion say barrh to gia zindagi ka boojh
Par yeh howa keh khud say nadamat nahi rahi
Kia nazr dain jo koi naii arzoo karain
Dil main to ttottnay ki bhi himat nahi rahi
Bohat khoob Azad :k:
Azad
February 16, 2003, 7:16pm
4
Nawazsih Ameen our Amal Jee
Dilsay
February 17, 2003, 6:16am
6
Bohat khoob Azad jee...
sub kuch badal giya hai... kuch behi tu nahi raha...
Azad
February 17, 2003, 7:01am
7
[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
Bohat khoob Azad jee...
sub kuch badal giya hai... kuch behi tu nahi raha...
[/QUOTE]
jee Dilsay yeh to hay ...
Re: thi jo muhabaton main
:k:
_Nazish
February 17, 2003, 6:24pm
11
Kia nazr dain jo koi naii arzoo karain
Dil main to ttottnay ki bhi himat nahi rahi
bohat khubsurat
heer jaisa , ranjhe jaisa laila ke mujnoo jaisa
sahiban ke mirza wala
piyaar na raha. :teary:
Dilsay
February 18, 2003, 5:28pm
13
theek kaha aap nay magar wasay log behi nahi rahay…
Re: thi jo muhabaton main
[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *
Kia nazr dain jo koi naii arzoo karain
Dil main to ttottnay ki bhi himat nahi rahi
(Umid ullah Aleem)
[/QUOTE]
Ae Mosam-e-hayaat-o zamaana kay shikwa sanj
kyaa Sabr Aa geyaa keh Shikaayat nahiN rahii
I think Poet ka Sahii Name Obaidullah Aleem hay (If i am not wronge)
anyway Nice choice, Thanks for sharing:)
Kia ishq kijee'ay keh rewayat nahi rahi
wah..
Kehtay that hum keh jee na sakain gay teray baghair
Yeh kia howa keh tujh say muhabat nahi rahi
hmmm..
Ruswayion say barrh to gia zindagi ka boojh
Par yeh howa keh khud say nadamat nahi rahi
buhat khoob..so nice
thnx azad 4 sharing
Azad
February 21, 2003, 6:59am
19
Lamhay jee
Galaxy
weteyes82
Nawazish hay aap sub ki
GuL-e-Tasbeeh Jee, aap nay sahi jana ... Aleem Sahab .. Ubaidullah Aleem hi hain, Allah nay un ko jo maqam dia hay ... woh humri typo say kam to honay say raha... phir bhi mazrat qabool ho