Re: The way I see me and the way others see me
**
Ghalib ke is she’r kii poorii ek kitaab kii shakl meN tashreeh kii gaii hai. is she’r ke aise aise maa’nii pahnaaye gaye ahiN k she’r ba-zaat e Khud ek mo’amma ban kar rah gayaa. ab agar amiN ne tashreeh kii bhii to kisii kaam kii na hogii…yeh puraane zamaaoN kii baateN haiN jise aaj ke daur meN ham aur aap na samajh sakeNge. har jawaab pe ek aur sawaal khaRaa ho jaayegaa. bas muKhtasiran yuN samajh len k:
koi agar shoKh ho to uskii shoKhii har taur 'ayaaN o bayaaN hotii hai Hattaa k uskaa vajuud aur uskaa saraapaa bhii usii shoKhii kii tarjumaanii kartaa hai ek shikaayat ke libaas meN jisse vo DhaaNpaa huaa hotaa hai.**