The Random Thread

**
yehi to meraa ronaa thaa bachpan se…chahe vo mere bhai hoN yaa baap…ise maiN ne hamesha buraa jaanaa hai…bahnoN ko aisi ta’leem dii jaatii hai k vo apne bhaiyoN kii Khidmat karna farz samajhti haiN aur na karna gunaah. maiN ne apni aaNkhoN se dekhaa hai k mard Hazraat paan khaa kar gappeN laRaa kar sardiyoN ke mahiine men rata ke 11 baje ghar aate haiN aur bechaari bahneN sotye se uTh kar unko khaana garam kar ke dastarKhowaan par sajaayaa kartii thiiN aur vo samajhti thiiN k vo yeh sab zimmedaarii yaa moHabbat meN aisaa kartii haiN…Ghalat bataayaa gayaa unko…maiN ne kabhi nahiiN dekhaa k ek baRe bhai en apni chhoTi bahen ke liye zimmedaarii samajh ke yaa moHabbat men kabhii khaanaa sajaa kar lagaayaa ho…yehi baat mujhe buri lagti thii, lagtii hai aur lagtii rahegii jab tak maiN zinda huN yaa jab tak yeh mardaanaa baalaa dastii qaayim hai…is meN hamaare ulama kaa bhi haath hai k unhoN ne mard kii Khidmat karvaanaa bandagii qaraar de di…ufff! i am mad as hell on these so called ulemas :(**