Re: the last name “DoNkey”?
Huzuur-e-waalaa, agar jaan kii amaaN paauuN to 'arz karuuN k maiN ne to pooraa talk-show dekhaa thaa aur us meN mausoof ne Khud apnaa ism-e-giraamii ‘DoNkey’ hii bataayaa thaa…[noon Ghunna ke saath]…alHamdolillah, maiN Urdu kii vo handwriting paRh letaa huN jo Ghalib, DaaGh aur Meer Taqii Meer taHreer farmaayaa karte the. ![]()
aapko bhii vohii Ghalat-fehmii huii jo Bhai Muqwee ko huii. ![]()
ek nuqta Ghaayab ho jaaney se ‘Donkey’ ban gayaa ‘DoNkey’…![]()
**vaise lafz nuqta hai na k nukta…nukta Ghalib ne iste’maal kiyaa thaa:
**
nukta_chiiN hai Gham-e-dil…