**Saqi Nama
Zamanay kay andaaz badlay ga~ay
Naya raag hay saaz badlay ga~ay
Khirad ko ghulami say azaad ker
JavanooN ko peerooN ka ustaad ker
Jigar say vohi teer phir paar ker
Tamanna ko seenooN meiN baydaar ker
JavanooN ko soaz~e~jigar bakhsh day
Maira ishq mairi nazr bakhsh day
Pila day mujhay voh may~pardah~soaz
Keh ati naheiN fasl~e~gul roaz roaz
Voh maey jis say roshan hay zameer~e~hayat
Voh maey jis say hay masti~e~kainaat!**