The Great Faiz Ahmad Faiz

Gulon mein rang bhare baad-e-naubahaar chale
Chale bhi aao ke gulshan ka kaarobaar chale

Qafas udaas hai yaaro saba se kuchh to kaho
Kahin to bahr-e-Khuda aaj zikar-e-yaar chale

Kabhi to subah tere kunj-e-lab se ho aaghaz
Kabhi to shab sar-e-kaakul se mushakbaar chale

Bara hai dard ka rishta yeh dil gharib sahi
Tumhare naam pe aaenge ghamgusaar chale

Jo hum pe guzri so guzri magar shab-e-hijraan
Hamaare ashk teri aaqbat sanwaar chale

Maqaam Faiz koi raah mein jacha hi nahin
Jo kue yaar se nikle to sue daar chale

Bol Kay Lab Azad Hain Teray

Bol ki lab aazaad hain teray
bol zabaanN ab tak teri hai

Tera sutawaan jism hai tera
bol kay jaan ab tak teri hai

Dekh ke aahangar ki dukaan main
tund hain sholay surkh hai aahan

Khulnay lage quffalon kay dahaanay
phailaa har ek zanjiir kaa daaman

Bol yay thora waqt bahot hai
jism-o-zabaan ki maut say pahlay

Bol kay sach zindaa hai ab tak
bol jo kuchh kahana hai kah lay

Both Zabardast :slight_smile:

First one… Mehdi Hasan Sung it Very WEll

Second… Teena Sani :k:

Tnx :flower2:

thnx rsjs 4 sharing this beautiful ghazals…:flower2:

behtarin rsjs

Re: The Great Faiz Ahmad Faiz

Rummana Ji Tasleemaat,

Waisay to saari ghazal hee bhaut khoobsurat hai lekin yeh shehr mujhay bhaut pasand hai:
l
Qafas udaas hai yaaro saba se kuchh to kaho
Kahin to bahr-e-Khuda aaj zikar-e-yaar chale

Bara hai dard ka rishta yeh dil gharib sahi
Tumhare naam pe aaenge ghamgusaar chale

Jo hum pe guzri so guzri magar shab-e-hijraan
Hamaare ashk teri aaqbat sanwaar chale

Dekh leiN janab Shab-ehijraan jo ashk niklay haiN woh kisi ki aaqbat saNwaaray jaa rahay hai.

Ghazal share karney ka shukriya

Tahir