The dead as it may look - The Cafe` sleeps finally *smokin*

Re: The dead as it may look - The Cafe` sleeps finally smokin

design maiN tau aik hee hoti haiN naa saari mini buses :smiley:

khair haY… uss saY naa sahi w-11 kee behen say hee kaam chal jaaYe gaa :jano:

Re: The dead as it may look - The Cafe` sleeps finally smokin

haan haan coolhoon ka beil kab aa raha hia:D

Re: The dead as it may look - The Cafe` sleeps finally smokin

oh Allah Khair :cb:

bohat jald aunty :smiley:

UZ: app kay liye bhi aik chota sa tohfa hai :smiley:

Re: The dead as it may look - The Cafe` sleeps finally smokin

OH Shabassshaaayyyy :smiley:

Karachi say TIte walay meethy Paan Laya hon >… :smiley: khanay Hain :yummy:

Re: The dead as it may look - The Cafe` sleeps finally smokin

Kaash maiN teraY ghar pe aaya Qurbani ka BaiL hotaa
Tu mujhaY chaaraa khilaati Chaara gar kee tarah

MaiN buss uss waqt bay hisaab nakhraY kartaa
Kissi saY na sanbhaltaa, dekhtaa mohallaY kaa har bachaa

Kaash maiN teraY ghar pe aaya Qurbani ka BaiL hotaa

TeraY haathoN kaY lams par maiN yooN bidaktaa
jaisaY iThlaai huee muTyaaran kaa lehktaa dopaTaa

Kaash maiN teraY ghar pe aaya Qurbani ka BaiL hotaa

(Wasi Shah saY ma'azrat kaY saath AQ kaY haath kee fil badeeh safaai)

Re: The dead as it may look - The Cafe` sleeps finally smokin

:k: :k:

Re: The dead as it may look - The Cafe` sleeps finally smokin

Shoaby,
aik bail tayyar ho gayaa hai - I think the steak pieces would be halal - Right. :smokin2:

Re: The dead as it may look - The Cafe` sleeps finally smokin

jee jeee .. bilkul Halaal :D

Re: The dead as it may look - The Cafe` sleeps finally smokin

Eid aayi
qurbaani ka gosht laayi

hum bhi khaaein gey
tum bhi khaaqo gey

:chupki:

Re: The dead as it may look - The Cafe` sleeps finally smokin

TeraY haathoN jub maiN yooN zibaah hotaa
udaas aankhoN maiN jaisaY gham kaa daryaa hotaa

Kaash maiN teraY ghar pe aaya Qurbani ka BaiL hotaa

teri aankhoN maiN hotaa mohabbat kaa sel-e-rawaaN
teraa buss naheeN chaltaa, taiyaar kabab-o-tikkaa hota

Kaash maiN teraY ghar pe aaya Qurbani ka BaiL hotaa

meraY gosht ko tu dekhti kuch iss tarah
dekh kar tujh ko kaleja mera tukRay tukRay hotaa

Kaash maiN teraY ghar pe aaya Qurbani ka BaiL hotaa

meri raanoN saY tu nehaari kaa gosht nikaalti
meraY gurdoN ko bhee tujhaY talnaa hotaa

Kaash maiN teraY ghar pe aaya Qurbani ka BaiL hotaa

Re: The dead as it may look - The Cafe` sleeps finally smokin

:hmmm:

soooooo deep

Re: The dead as it may look - The Cafe` sleeps finally smokin

^
OjhRhi tukk naa jaao..

Re: The dead as it may look - The Cafe` sleeps finally smokin

:hula: ki horriya aaayyy

Re: The dead as it may look - The Cafe` sleeps finally smokin

magar kyon?

Re: The dead as it may look - The Cafe` sleeps finally smokin


itni dukh bhari batein na kiya karein :(

Re: The dead as it may look - The Cafe` sleeps finally smokin

MSL: we are doing some Ma’arfat kee baataiN

wahaaN saY nikalnaY kaa raastaa baRaa hee pecheedaa hai :halo:

Re: The dead as it may look - The Cafe` sleeps finally smokin

:smack: yea dukh bhari baat nai thi

this is called “bail ka dream”

Re: The dead as it may look - The Cafe` sleeps finally smokin

may be AQ was talkin metaphorically (sp?) :hmmm:

Re: The dead as it may look - The Cafe` sleeps finally smokin

:hmmm:

but i thought it was damagh

Re: The dead as it may look - The Cafe` sleeps finally smokin

LOL

:hayaa: @ Some of the thoughts that just came to mind, stuff from the university days, when we used to sit in the corridor outside the girls common room :blush:

And composed ghazals about "Kaash main tairaHota :blush: "
:sheen: