The Classical Twos - By my teacher Hasan Akbar Kamal

Hasan Akbar Kamal is an urdu poet and professor of English in Karachi.

I have had a previlige to be his student during my high school (Intermediate) days… I used to visit his home for extra tution help and all. During that time, I came in contact with his poetry and was inspired by the simple words.

Tina Sani’s famous “Koi baat karo, koi khushbu jaisee baat karo”, back groun song of drama “Nijaat” and a milli naghma sung by Vital Signs on air force are just a few of his known works…

These two poems, I have shared in Gupshup a few times in the past. Thought to share it in Voice as well… Enjoy:

Poem 1:

Hai mehrbaaN kabhi naa aashnaaoN jaisa hai
Mizaaj uss kaa ajab dhoop chaaa’oN jaisa hai

Jo raaaaat ho tau pekar shuaaaaaa’oN jaisa hai
ghamoN kee dhup agar ho tau chaa’oN jaisa hai

Baras rahaa hay magar tishnagi naheeN bujhtee
maiN rahguzar hooN aur woh ghaTaaoN jaisa hai

Teray khiyaal say bach kar bataa kahaaN jaaooN?
yahaaaaaN sukoot bhee teri sadaaoN jaisaaa hai

Kamal maiN ussay kiss dil say bewafa keh dooN?
Woh bewafaa tau naheeN, bewafaaoN jaisa hai

Poem 2:

Kiya hota hay KhizaaN bahaar kay aanay jaanay say?
subb mosam haiN dil khilnay aur dil murjhaanay say

aik diyaa kab rok sakaa hay raat ko aanay say?
lekin dil kuch saNbhlaa tau ik diyaa jalaanay say

Jo phooloN aur kaanToN kee pehchaan naheeN rakhtaa
phool naheeN ruktay ghar uss kaa bhee mehkaanay say

Jaltay nazar naheeN aaey aur jall kar khaak huvay
duur kaa rishtaa apna bhee niklaa parwaanay say

kacchi ume'r aur saawan maiN kaisay baaz aayeN?
aankhaiN jag-mag karnay say, aaNchal lehraanay say

kitna accha lagta hai ik aaaam sa cheraa bhee
sirf mohabbat bhara tabassuum la'b par laanay say

gaye dinoN maiN rona bhee tau kitnaa sacchaa thaa
dil halkaa ho jataa thaa jabb ashk bahanay say

bheegi raat kaa sannaaTa kartaa hai wohi baataiN
zakh'm haray hotay haiN jo baataiN yaad aanay say

AheisTa Aheista ...

:teary2:

Kamal loGh bi kia hain GumaaN yea raktay hain **
**Jo Bas gaya ho kaheen , dar baDar nahi rahTa

Re: The Classical Twos - By my teacher Hasan Akbar Kamal

Buhat khoob AQ, great job:-)

Aliyish aap ney jo posting ki baad meiN sunooN gi :-)

Re: The Classical Twos - By my teacher Hasan Akbar Kamal

yehe hal reha to muge urdu nehe ae geh u metleb nehe deste :ASA:

:teary2:

Oye momo .. tussi urdu samj samj k parHan da shoq kyun honda ponda see :asa:

ye kea he :asa:

baa adabb ba mulihazaa :bummer: