The Bengali, the Kashmiri and the SARDAR ji ...

Hello loko..this is my first ever posting in the jokes forum :slight_smile:

hope you like it;

Aik bengali, aik sardar aur aik kashmiri sab aik hi factory mein kaam karte thay. teenon dost rozaana lunch ghar se laate thay aur akatThay baiTh kar saath khaate thay.

aik din, har roz ki tarah jab khaanay ka waqt aaya to teenon dost canteen mein jaa milay aur apne apne khaane kay Dibbay bastoN mein se nikaalne lagay.

Pehle kashmiri ne nikaala aur jab uss ne khol ar dekha to wohi murgh biryaani aur raitha tha jo har roz hota tha! Woh ghussay mein aaya aur kehnay laga ke "Uffo! hadd hjo gayee hai–rozana meri begum wohi khaana banaa kar deti hai! Khuda kiqasm agar kal bhi yehi khaana huwa to mein iss khirki mein se chalaang lagaa kar khud-kushi kar doonga. [canteen 10th floor par thi :)]

Phir Bengali ne apna lunch nikaala. Uss ne bhi dekha to wohi macchlee aur chaawal. Woh aik dum bhaRak uTha ghussay mein aur kehne laga! “Bhaiyya, apn bhi kuda ki qasam deta hai..agar pan ki biwi ne bhi yehi khaana banaa kar mere ko kal diya to apn bhi kud-kushi kar lega!”

Sardar ji ne jab apna khaana dekha to uss ka bhi hisb-e-mamool, paraathay aur sarsoon ka saag tha. Woh bhi kehne laga “Jay kalvee aiho khaana hoiya tay main vee khud kushee kar deesaaN [main bhi khud kushee karloonga]”

Teenon dostoN ne apne apni mazhabi kitaabon par qasam khaa lee issi baat par.

Accha, jab agla roz aaya to teenoN aadat ki binaa par khaana keliye chale gaye canteen. aaj sab sanjeeda thay. apni qasam sab ko yaad thi.

pehle kashmiri ne bismillah par kar apna khaana nikaala…sab usse dekh rahe thay..to uff! wohi murgh biryaani! Woh aik dum naara lagaa kar chalaang lagaa gya khiRki se aur jaan se bezaar ho gya.

Ab bengali ki baari thi. woh bhi chaawal aiur machlee dekh kar khud kushee kargiya.

Sardar jee ne bhi jab dekha ke saag aur paraThay hi hain to zarra socha aur woh bhi khud kushee kargiya.

teenoN mar gaye to factory waaloN ne unki biwiyoon ko yeh buree khabr jaa kar sunaa di.

ab teenon beTh ke ro rehee theen.

Kashmiri ki biwi ne kaha, "sunno behno, khuda ki qasam unhon ne mujhe kabhi bataaya hi na tha ke kuchh aur qism ka khaana banaa do..warna main to zaroor banaa dayti..ab kya sadma ho gyaa hai..haaye..par iss mein batain mera kya qasoor hai? " aur woh ronay lagee.

Bengali ki biwi ne bhi yehi kaha ke mera to qasoor na tha mere shohart ne kkabhi kaha hi na tha ke kuchh aur banao.

Phir SArdar ji ki biwi zara soch aur kehne lagee

“haaN behnoN, mera bhi qasoor nahin hai…Sardar to rozana khud apna khana banaa kar lay jaatay thay!”

http://www.pak.org/gupshup/biggrin.gif

http://www.pak.org/gupshup/biggrin.gif

http://www.pak.org/gupshup/biggrin.gif

hope you liked it!

asif

Haha! Suna howa hie, but oh well hehehe anyway.

http://www.pak.org/gupshup/biggrin.gif

Hey Welcome to jokers land. Hope u stick around and keep us entertained.

Wishing u tons of lafs
DB :slight_smile:

Hahaha funny! :)

:):):):)good one

dil..dilseee