Abhi kuch din laggaiN gey
Dil Aisay shehr kay paamaal ho jaanay kaa manzar bhoolnay maiN
Abhi kuch din laggaiN gey
jahaan-e-Rung kay saaray Khus-O-Khaashaak, sub sur-O-Sanobar bhoolnay maiN
Abhi kuch din laggaiN gey
Thakay haaray huvay khwaabouN kay saahil par, kaheeN ummeed kaa choTa saa ik ghar
bantay bantay reh gaya hay
woh ik ghar bhoolnay maiN, Abhi kuch din laggaiN gey
magar abb din hee kitnay reh gaye haiN
Buss, ik din Dil kee Loh-e-Muntazir par
Achaanak
Raat utray gee
meri baynoor AankhouN kay khazaanay maiN chuppay har khwaab kee takmeel kar day gee ![]()
Mujhay bhee khwaab maiN tabdeel kar day gee
Ik aisa khwaab jiss kaa dekhnaa mumkin naheeN thaa
Aik aisaa khwaab jiss kay daaman-e-sud chaak maiN koie Mubarak
koie roshan din naheeN thaa
Abhi kuch din laggaiN gey