**Tha Bohat Khush Jo Bhula K MujKO,
Aaj Roya Galey Laga K MujKO,
****Usny Pehla Sawal Ye Pocha,
Tum Ko Kaisa Laga Ganwa K Mujko?
****Zindagi Ne To Azmaaya Hai,
Dekh Lo Tum B Aazma K Mujhko,
****Usny Rasta Badal Liya Apna,
Pyar Ki Raah Par Chala K Mujhko,
****Dey Gaya Umar Bhar K Aanso,
Jo Kbhi Hansta tha, Hansa K Mujko,
****Ajeeb Shakhs Tha, Jatey Howey Wo,
Khud Bhi Roya Bohat Rula K Mujko,
****Mujh Ko Pathar Bana K Kehta Hai,
“Jaan” Dekho Na Muskura K Mujhko.
**