TeRY NaaM

**Gham na kar tere leay charagh ban jaon ga
khud jal kar teri rah mein roshni kar jaon ga

Dar hai k mujh se ruswaeian na milein tumhein
tark e taaluq main khud se hi kar jaon ga

Tery aanchal me hon phool,khawaish meri
apna daman main kanton se bhar jaon ga

Laakh bhulanay se bhi na bhool sako gi tum
main pyar hi tum se itna kar jaon ga

Sanwaro apna naseeb tum khushi se
main k baraf par bani tasweer,aakhir mit jaon ga**

Re: TeRY NaaM

Kul jub Karachi mein load shedding howee toh Muqaa nay apni galee walon say kaha:

**Gham na kar tere leay charagh ban jaon ga
khud jal kar teri rah mein roshni kar jaon ga

:omg:**

Re: TeRY NaaM

:emmy: khair aap to barfeeli pani pe tasweeren banane main expert ho hi gae honge thande England main reh kar

Re: TeRY NaaM

wah wah kya jazba hai

Re: TeRY NaaM

ye mera jazba.. aage se hat ja

BTW konsa jazba?

Re: TeRY NaaM

jaltey hain armaan mera dil rota hai
Load shedding ka dastoor nirala hota hai. :rotfl:

Re: TeRY NaaM

Pani Pani re, thande pani re
Jaldi se aa ke beh ja
chamakate sooraj ke liye
aasman khali kar ja

Re: TeRY NaaM

shear o shairy ka acha muqabla chal raha hai

Re: TeRY NaaM

Jugnu Nu Kaid Karke bijli banya Na Karo
Roshni Khaatir Koi Dil Jlaya Na Karo
Load shedding howey tey diya jalay na karo
Buss neray vich apna naseeb jalaya karo :rotfl:

Re: TeRY NaaM

Tip tip barsa pani, pani ne aag laga di :snooty:
jana tha shopping pe, program ki waat laga di :hehe:

Re: TeRY NaaM

'BIJLI hoon main bijli hoon
***WAPDA ki main titli hoon,

Aik ghantay k liye aati hoon

2,2 ghantay jati hoon,

0oper pankha rukta hai

Neechay Muqqa rota hai,

:rotfl:**
*

Re: TeRY NaaM

dil diyan galan dil vich reh gayan
na tu suniyan ya dasiyan
badal chham chham wasiya

Re: TeRY NaaM

Hum nay Bhi Pyar say Computer Kiya tha Start
Par Ussi Time Achanak Ghar ki Bijli Gayi Bhag

Re: TeRY NaaM

wo bhi kia zamane the jab kaha karte the hum:

Ae abre karam aaj itna baras
itna baras ke wo ja na sake

Ab to to ye haal ke mat poocho:

Abr hi abr hai, hota hi nahin koi karam
na hi badal thamte hain, na hi bivi ka ghussa hota hai kam