Teri yaadon ki mahak saath liey.......aksar hum

Teri yaadon ki mahak saath liey
aksar hum
door khwabon k jazeeray main utar jatay hain
kyoon k hum tum
sirf khwabon main hi mil saktya hain
mainne socha hai k
is baar tumharay hamraah us jagah utroon gi
aur wo baat jo main kah nhi pai tum se
samnay tum ko bitha kar bari himmat kar k
tum se kah doon gi
tum se kah doon gi k tum mairay ho
tum jo chaho
mairi yaktarfa mohabbat ko sahara de do
zindagi yoon to bohat kam hai mohabbat k liey
jitna bhi pyaar mujhay day sako saara day do
apni duniya to sada pyaar sa khaali hi rahi
tum mairi doobti kashti ko kinara de do
kuch to bolo
kuch to bolo
mujhay dar hai k sahar hotay hi
tum chalay jao gay
aur hum phir say
apni duniya main laut aain gay
yahi yaadain yahi batain to asasa hai maira
bas yahi chaand khyalat liey
tairi yaadon ki mahak saath liye
aksar hum
khwabon k jazeeray main utar jatay hain

Re: Teri yaadon ki mahak saath liey.......aksar hum

**kyoon k hum tum
sirf khwabon main hi mil saktya hain

:( iss per Chief Justice ko zalim samaj per suo moto lena chahiye
**

Re: Teri yaadon ki mahak saath liey…aksar hum

:clap: