**Waqt-e-hazir main teri yaad mujhe aa hi gai
Maine chaha bhi ye kab tha ke bhula doon tujh ko
Tujh sa naadaan musafir nahin dekha main ne
Ab bhatak ja to main manzil ka pata doon tujh ko
Kyon gila kerta hai nahaque meri majboori per
Khud sambhal jahon to sochon ke sambhalon tujh ko
Main to maikash bhi nahin hun ke chalon maikhane
Teri khwahish ho to nazron se pila doon tujh ko
Tu ne gulzaar bana li teri duniya lekin
Main to ek khaar hoon aa yad dila doon tujh ko**