teri yaad shagh i gulaab ha jo hava chali to lachak gai

**kahin chaand rahoon me kho gaya , kahin chandni bi bhatak gai
main chiragh woh bhi bhuja hua meri raat kasay chamak gai

meri dastaan ka arooj tha teri narm palkoon ki chaoon main
mere sath tha tujhay jagna teri aankh kasay jhapak gai

bhala hum milay bi to kia milay wohi dooriyan wohi faslay
na kabhi humaray qadam barhay , na kabi tumhari jhijhak gai

tere hath se mere hont tak wohi intizar ki pyaas ha
mere naam ki jo sharaab thi kahin rastay me chalak gai

tujhe bhool janay ki koshisheen kabhi kamyaab na ho sakeen
teri yaad shagh i gulaab ha jo hava chali to lachak gai**