terey har zakham ka hisaab
apney khoon ki tehreeron mein deen gey
keh apni be basi par
teri bewafai ki chadar tani hai
teri majboori ney
har us lamhey ka khoon kiya hai
jo amar tha terey merey sath ka
bhool jaoon gaa terey sapney
teri chahat ki bateen
haan tumheen jana hai
tu jaoo keh bikharney do mujhey
jaoo keh dard nah bantey ga koi
keh meri jalti ankhon key sairaab
bujh janey do …
yehi soch raha tha keh
meri aankh nam ho gai
khoon_e_jigar ney kaha
keh terey ansoon ki soaghaaat keemti hai
terey dard ka hisaab anmool hai
lekin
akhir tu us ko jana hi tha
shaaaam ki sard hawa sargoshi kar rahi thi
kehney lagi keh tum ab talak tanha!
our main tootey dil sey mukura diya
....
sorry see above IK SHAM_E_TANHAI thats poem
Ops! ap nay yai do baar post kaar di.
But achi cheez ko baar baar parna acha lagta hay na:)
Nice :k:
:k:
mmm
thanx friendes but its real title is ik SHAMM_E_TANHAAi anyways aap yahaan parheen ya wahaan same thing yeh janey ghalti sey post ho gai:P