Aaj mossam mai phir se bahar ayi tou teri yaad ayi
beetay khawab-o-khayal ka socha tou teri yaad ayi
yoonh tou ab gham hi reh gye hain mere hum safar
aaj jab khushi rah mai mujhse takrayi tou teri yaad ayi
woh baarish mai jo bheeg jaateen theen teri zulfain
aaj shaam jab badal gajraye tou unn ki yaad ayi
teri muskaan mai meri zindagi ki khushyian theen
aaj jab zindagi mujh pe muskarayi tou teri yaad ayi
tere baad tou maine lafzon se nata torr diya tha
aaj qalam haath mai phir se ayi tou teri yaad ayi
woh tera ruth jana aur mera tujhe phir mana le na
aaj zindagi ruthi aur maut mananay ayi tou teri yaad ayi
mere dil ki dharkanay tere naam ki tasbhee parteen hain
par aaj kanon mai tere naam jaisi awaz ayi tou teri yaad ayi