Teri YaaD Aaye Jab Mujh Ko

Asalam u Alaikum !

Waqt Bohat Kuch Badal Daita Hai Kabhi Kabhi Aapki PuurI Zindagi Kai Aaisay Faisalay Karnay Pe MajbooR Kar Daita Hai Jin Pe Apki ZindagI Ya To KhataM Ho Jaati Hai Ya Shuru Hoti Hai !

Miss Ya SomeTimE

Teri Yaad
Aaye Jab Mujh Ko
Mein Laut Aaon Ga
Woh Bheegi Raat
Aur Baarish Huay
Mein Bheeg Jaoon Ga

Faaslay
Simat Na Sakaay
Raastay
Jo Mitt Na Sakaay
Inn Faaslon Ko
Simatna Hai
Inn Raaston Pay
Chalna Hai
Yeh Dil Ki Baat
Koi Jaanay Na Jaanay
Mein Keh Jaoon Ga
WoH Teray Saath
Guzaaray Lamhay
Na Bhool Paaoon Ga

Jo Sapnay
Sajaaye Mil Kay
Khushi Kay Pal
Bitaaye Mil kay
Kya Paya Mein Nay
Kya Khoya
Kab Jaaga Hoon Mein
Kab Soyaa
Teri Har Baat
Rulaaye Jab Mujh Ko
Mein Kho Jaoon Ga
Woh Teri Chaal
Sataaye Jab Mujh Ko
Mein Dol Jaoon Ga ! ! ! !

BeIng loNely !!! sId !!!

Re: Teri YaaD Aaye Jab Mujh Ko

waqt nahi humaray kiay gaey faislay badal daitay hain waqt aur haalaat ko.

Re: Teri YaaD Aaye Jab Mujh Ko

Teri yaad aye jab mujh ko, main laut aaon ga
woh bheegi raat aur baarish boondein
main bheeg jaoon gaa
beautifully song of JAL :k:
thanx for sharing

Re: Teri YaaD Aaye Jab Mujh Ko

Kabhi ghor se suNo to maloOm ho na ke baarish boondein kehta hai ya baarish Huay kehta hai :hehe: bachoN ka kaam nahi hai ~ Apnay kaan bhi saaf karwa lo kiisi achay doc se :stuck_out_tongue:

btw thanks for pasanding !

Re: Teri YaaD Aaye Jab Mujh Ko

kaan seedha pakro ya ghuma ke aik he baat hai :) ziNdagi ki to aisi ki taisi ho jaati hai nA dekho ab hamray achay din kab aaatay hain ! being lonely reh reh ke thak gaye hain ab !

Re: Teri YaaD Aaye Jab Mujh Ko

bazurgoo iss umar mein agr ganoon ki wording nai na samaj atee tou Allah Allah kar liya karein
g sahi kaha bachoon ka kaam nahi hai lakin har baar zaroori nahi aap bazurg hi theek hoon
zara kannon say cotton nikal k sunna aap ko pata lahg jaey ga :stuck_out_tongue:

Re: Teri YaaD Aaye Jab Mujh Ko

Beautiful Sharing Sid

Re: Teri YaaD Aaye Jab Mujh Ko

Sid Song mein barish boondein hi haii… Bheegi is right!!! :dhimpak:

P.S: V. Nicee Sharin.. :k:

Re: Teri YaaD Aaye Jab Mujh Ko

Thanks MeRE jazbAat da kachumar nIkaal ditaa :teary2:

Re: Teri YaaD Aaye Jab Mujh Ko

sahi hai bhai baarish boondein HE HOga happy !

Re: Teri YaaD Aaye Jab Mujh Ko

kabhi zyada ghor se suno to huay he lagta hi normaly suno to boondein lagta hi ! iss pe aaj he ghor kia meIn ne ! saanau ki jo v hway

Re: Teri YaaD Aaye Jab Mujh Ko

aik tareeka aur hai agar cassete ya cd hai uss mein lyrics bhi aaye thay cover meiN wahan dekho agar wahan se milay to !

Re: Teri YaaD Aaye Jab Mujh Ko

Thx Ts !

Re: Teri YaaD Aaye Jab Mujh Ko

u can chk the lyrics online

Re: Teri YaaD Aaye Jab Mujh Ko

http://www.leoslyrics.com/listlyrics.php;jsessionid=1A925D7D25C2FF8CA1D7AE481D0FDBE0?hid=mfl07hRWQW8%3D beta jee mein sahi he keh raha hon 2 jagah yehi likha hai huay aai samjh ! n mujhe bhi huay he suit kar raha hai :hoonh:

Re: Teri YaaD Aaye Jab Mujh Ko

bazurgoo aap ko jo suit karta hai ussi sur taal par sunean :hoonh:

Re: Teri YaaD Aaye Jab Mujh Ko

bacho kabhi bazurgoN ki bhi maaN lia Karo
http://www.lyricsandsongs.com/song/564454.html

:hoonh:

Re: Teri YaaD Aaye Jab Mujh Ko

nice sharing lonley :)

Re: Teri YaaD Aaye Jab Mujh Ko

kisne mere Sid ko rulaya? :asa:

Re: Teri YaaD Aaye Jab Mujh Ko

gud:)