*Tumhein dil se bhulatay hain tau aankhain khoob roti hain
Dard dil mein jagaatay hain tau aankhain khoob rooti hain
Tumhare baad chaahat ke sabhi panchi urray jaanaan
Kaheen bhi dil lagaatay hain tau aankhain khoob roti hain
**Teri tasweer, adhooray khat tau jala deye hum ne
Ab paani pe naqsh banaatay hain tau aankhain khoob roti hain
**
Ghatta awaargi mein jab seyah choola pehanti hai
Parinday jab sataatay hain tau aankhain khoob roti hain
Ke jab bhi shaam dhalti hai meri qismat ke sab taaray
Falaq per jagmagaatay hain tau aankhain khoob roti hain
Sard dareek raaton mein seyah saawan ki barish mein
Dard jab muskuratay hain tau aankhain khoob roti hain
Saahil ki woh mitti ke jis pe khoon haathoon se
Wafa likh kar mitaatay hain tau aankhain khoob roti hain …
*