**teRi qur’bataiN bhi saraab haiN ye bhala hua jo nahi milee’N
teRi doori’yaaN bhi azaab haiN meRi dasht e jaan se tali nahiN
kisi aag ne wo dhu’aan dee’aa mujhay daikhnay bhi kahaN dee’a
wo musafatooN ka jahaN dee’a kahiN rasta hai kahiN nahiN
mujhay zindgi wo di’yaa lagay ke abhi bujhay jo hawa lagay
kabi kia lagay kabi kia lagay kisi zaa’viye pay yaqee’N nahiN
ke shikasta paa maiN rukooN kahan ye hai fasloon ka naya jahaN
hai agaR zamee’N nahi aasma’N ,hai jo aasma’N tou zamee’N nahiN
pas e chashm e nam wo zaRor hai mera dil jafa’OoN se chooR hai
meRi manzilooN ka qasooR hai teRay rastooN say milee nahiN
**