Teri nazar hai mera dil hai kiya keya jaey
junoon khirad kay muqabil hai kiya keya jaey
hum apnay gham ka fasana sunanay aaey thay
magay yay aap ki mehfil hai kiya keya jaey
jhuka deya hai muhabbat nay aap kay der par
jabeen uthaon yay mushkil hai kiya keya jaey
yay aik dagh-e-muhabbat kahan chupa rakhoon
tamam umar ka hasil hai kiya keya jaey
kiya keya jaey ![]()