**Me kinaron ko rulaney lga hoon
Phool darya mein bahaney lga hoon
Khel ko khatam kro jaldi sey
Warna main parda girane lga hoon
Dil se jaon tou batana mujh ko
Teri mehfil se tou jane lga hoon
Youn lgi mujh ko muhabbat teri
Jese main bojh uthane lga hoon
Pehle main apna urata tha mazaq
Aur ab khaak urane lga hoon
Kitni aasani se maara gya tha
Kitni mushkil se thikane lga hoon
Shukr hai ishq k soudey mein bhi
Ashk do chaar kamane lga hoon
Waqt hoon aur brri muddat se
Main tere sath zamane lga hoon
Aese khamosh hua hoon Zahid
Jese main baat barhane lga hoon!**