Eik shiqwa or teen mukhtalif andaaz-e-bayaan :~)
now choice is yours ![]()
teri hi tarhaN hamain yaad aaney waala ho ..
tere siwaa bhi koi to sataane waala ho ..
har ek subha yahi dil main hook uThti he ..
hamain bhi naaz se koi jagane waala ho ..
wo kis ummeed main ghar mey rahain ki jis ghar main ..
na aaney waalaa ho koi, na jaaney waala ho ..
har eik se nazarain milaai hain un ke koochey main ..
ki jaise ab koi, ham ko bulaane waala ho ..
he dosto ke liye aainaa nazar meri ..
nazar milaaiN jo nazarain milaane waala ho ..
ki jaise koi balaa mujh pe aaney waali he ..
hiraas kehta he, koi bachaaney waala ho ..
hamaare shehar main, kya kya saje-sajaaye hain ghar ..
hamaare ghar ko bhi koi sajaane waala ho .. ![]()
By
Mohtaram Karaar Noori
Heres my self pity edition
raat tanhai ki, jab saans bhi karey baatain ..
koi to saath hoo, inkoo samajhney waala ho ..
khizaaN ke daur main, jab phool sarey murjhain ..
singhaar kar ke koi, mausam badalney waala ho ..
koi aaNgan main mere aaye rooshnie ki tarhaan ..
kisi ko apna kahoon, koi apna kehney waala ho ..
zamaana laakh meri zaat ko kamzoor karey ..
ik oska saath, meri himmat barhaney waala ho ..
thakan sey choor jab main rasta bhatakney lagoon ..
koi kaandhey pe mere haath rakhney waala ho ..
jahan awaaz meri saath choor de mera ..
wo eik shakhs, meri ankhoon ko parhney waala ho ..
bohot safar hey mere haath ki lakeeroon main ..
koi to ho, jo mere saath chalney waala ho .. ![]()
By
Azam
Now check out another version
ik garam chai ki piyaali hoo ..
koi osko pilaney waali hoo ..
chahey goori ho yaan kaali ho ..
seeney sey laganey waali ho ..
tara rum pum pum ..
tara rum pum pum ..
tara tum pum pum ..
By
some Sardaar ji ![]()