***Teri sargoshiyan khud he, teri awaz sunti hain
yahan tareekiyan’ saari, teri awaz sunti hain
khuda se jo kiya shikwa, sada si ek sunaee dee
farishtay, hoor,peryan sab teri awaz sunti hain
tujhay jo chahiye wo mang le, us pe bharosa rakh
khuda ki rahmatain har dam teri awaz sunti hain
labon se tum na kuch kehna,nigahain char ker lena
samajh lena meri aankhain, teri awaz sunti hain
“Faiz” samjhaingi kahan, jazbaat ki yeh gehraee
ke jitnee tang nazrain bhi, teri awaz sunti hain***