teri aankhon nay meray gird ik deewaar khainchee hai
mein is say bhaag kar jaana bhi chaahon
to kaheen ab jaa nahin sakta
keh payron say koi zanjeer-e-bay awaaz liptee hai
yeh woh deewar hai jis mein koi rozan nahin khultaa
mein is mein dar banaata hoan to
her aik khisht mera raasta rokay
meray kaanon mien ik pour kaif see awaaz aatee hai
“yehan say bhaag kar jaana koi asaan nahin hai
mohabbat is qadar kamzore meri jaan nahin hai”
teri aankhon nay meray gird jo deewaar khainchee hai
mein ous ko tornaa chaahon to taishaa sar ko aata hai
yehan ournaa kahan is taa’ir-e-bay’per ko aata hai
meri saaree tawaanaa’ee yehaan nakaam hotee hai
yehin ab subha hotee hai
yehin ab shaam hotee hai
teri aankhon nay meray gird jo deewar khainchee hai
mujhay is say safar ka aik bhi rastaa nahin miltaa
keh is deewaar kay peechay bhi ik deewaar lagtee hai
hummay tum say pyar kitna :)yae hum nahe jantay:)