Teri Ankhon Se Hi Khulte Hain Saveron Ke Ufaq
Teri Aankhon Se Hi Band Hoti Hai Ye Seep Ki Raat
Teri Aankhen Hain Ya Sajde Main Hai Masoom Namazi
Palken Khulti Hain to Youn Goonj Ke Uthati Hai Nazar
Jaise Mandir Se Jaras Ki Chale Namnaak Hawaa
Aur Jhukti Hain To Bas Jaise Azaan Khatm Huee Ho
Teri Ankhen, Teri Thahri Huee Ghamgeen See Ankhen
Teri Ankhon Se Hi Takhleeq Huee Hai Sachchai
Teri Ankhon Se Hi Takhleeq Huee Hai Ye Hayat
Jaras is Caravan Bell… Its also called shank and played in Mandir during pooja paat. I think its shape is quite similar to sea-shell. If you have watched SRK’s Devdas, Paro’s Maa was playing it after uttering 10 minutes dialogues to Sumitra (amrood churati hai, neech gun.. blablabla)