Terey baarey mein jab, socha nahin tha

Terey baarey mein jab, socha nahin tha
Mein tanha tha magar, itna nahin tha

Teri tasveer sey karta tha baatein
Merey kamrey mein Aaina nahin tha

Mein tanha tha magar, itna nahin tha

Samander ne Mujhey, Pyaasa hi rakha
Mein jab Sehra mein tha, Pyaasa nahin tha

Mein tanha tha magar, itna nahin tha

Manaaney roothney ke khail mein Hum,
Bichhar jaaein gey, Yeh socha nahin tha

Mein tanha tha magar, itna nahin tha

Suna bund kar leen, Uss ne Aankhein
Kai Raaton sey Woh, soya nahin tha

Mein tanha tha magar, itna nahin tha

loveee dizz ghazal...

u got good taste :)

shukria

Wao... My fav ghazal... Thanks for sharing JAAN leva !

Kuch khali ankhain day do, kuch pheeki batain day do
Kuch sapnay apnay day do, kuch halki ratain day do

Apnay rang may ap bharon ga, khali khali ankhon may
Toron ga may jor kar usko, mujh ko meri zaat hi day do

Bheegi bheegi barish may, phirna bheegi sarkon per
Sab kuch lay lo mujh say mera, meri purani adat day do

thanx arif nawaz bro