tere paas aane ko jii chaahataa hai
naye zakham khaane ko jii chaahataa hai
idhar aaye shaayad vo mauj-e-tarannum
Gazal gungunaane ko jii chaahataa hai
zamaanaa meraa aazamaayaa huaa hai
tujhe aazamaane ko jii chaahataa hai
vohii baat rah rah ke yaad aa rahii hai
jise bhuul jaane ko jii chaahataa hai
laboon par mere khelataa hai tabassum
jab aansuu bahaane ko jii chaahataa hai
kaii martabaa dil pe bijalii girii hai
magar muskuraane ko jii chaahataa hai
takalluf na kar aaj barq-e-tajallii
nasheman jalaane ko jii chaahataa hai
ruKh-e-zindagii se naqaabein ulaT kar
haqiiqat dikhaane ko jii chaahataa hai