Tere Naam

wo phool jo dartay dartay khiltay hein
dhoop hai ya chaanoun
andhayra hai ya sawayra
khushi hia na koi gham
bass khoob ka basayra
rangoun mein simtay rehtay hein
jo dartay dartay khiltay hein
manzil say ashna nahin hotay
lamhoun say agaa nahin hotay
bass ek anjana sa khoof
jissay kal gham banana ho
khil kar bikharana ho
bikhar kar jalna ho
aankh khulnay say dartay khiltay hein
jo dartay dartay khiltay hein
mosam ka bass tu chalna hota hia
in ko bi akhir khilna hota hia
kitnay banwroun ki chah mein
kitni titliyun ki rah mein
baharoun ka dham bharna hota hia
phir shakhoun say liptay rehtya hein
jo dartay dartay khiltay hein
jo nai duniya mein aatay hein
sharmatay hein lajtay hein
saba say kabhi uljatay hein
mosam se kabhi ghabratay hein
sab kuch jo suhaana lagtah hia
moot ka ek bahana lagtah hia
khilnay kay gham sehtay hein
jo dartay dartay rehtay hein
khiltay khiltay khil jatay hein
nai chahayray mil jatay hein
magar khawab aur khoof ka
ek rishta hota hai
rooshni ki baghal mein
jaisay saya hota hia
kali phool ban jati hia
zindghee ki bhool ban jati hia
shabnam shabnam behtay hein
wo phool
jo dartay dartay khiltay hein
kaliyun mein chup kay rehtay hein

Re: Tere Naam

long but nice :)

Re: Tere Naam

Hamaar bhi kuch yehi khayaal hey :)

Re: Tere Naam

nice sharing