tere milane ko bekal ho gaye haiN
magar ye log paagal ho gaye haiN
bahaareN leke aaye the jahaaN tum
vo ghar sun_saan jangal ho gaye haiN
yahaaN tak barh gaye aalaam-e-hastii
ki dil ke hausale shal ho gaye haiN
kahaaN tak taab laaye naatavaN dil
ki sadame ab musalsal ho gaye haiN
nigaah-e-yaas ko neend aa rahii hai
musardaa pur-ashk bojhal ho gaye haiN
unheN sadiyoN na bhuulegaa zamaanaa
yahaaN jo haadase kal ho gaye haiN
jinheN ham dekh kar jeete thay ‘Nasir’
Woh log aaNkhoN se ojhal ho gaye haiN
(Nasir Kazmi)