Tere iss jahan mein...

Tere iss jahan mein aye Khuda
Woh nahi tau lagta hai kuch nahi

Nahi ho ke bhi hai woh harr jagah
Karoon kyun yaqeen ke woh ab nahi

Hai udaas tere bina shehar
Tujhe yaad karte hain raastey

Hain woh log apne gharon mein band
Jo nikaltey they tere waastey..

Bahaarein jawaani kahan gain
Thi abhi khizaan ki rutt nahi..

Sab jeetey hain yahan zindagi
Tujhe zindagi ney jiya magar

Tha woh Rabb bhi tanha tere bina
Tau bana liya tujhe humsafar

Tujhe cheen laaun Khuda sey main
Koi usska tujh pe haq tau nahi…:frowning:

zabar10 Aryaan

Tere iss jahan mein aye Khuda
Woh nahi tau lagta hai kuch nahi

Boht achay :k:

:flower2: very nice and thanks for sharing:flower1:

m kamal, HeArT HaCKeR, Dynamic fire.. thanx alot!!!

Aryaan… congrats for Double Century :slight_smile:

Nice one :k:

Thanx *G S * :)