TERE INTZAR KI RAIT PE
Koi lafz maine likha na tha,
Koi harf maine kaha na tha,
Koi khwab maine chuna na tha,
ISI INTZAR KI RAIT PE
Meri arzu k gulab thy,
Meri JustJu k sarab thy,
Sabhi chahton k Jawab thy,
Sabhi hasraten wo kahan gain?
Teri chahten wo kahan gain?
Mere hum nasheen mere hum nawa,
Main palat k shayad na aa sakon,
ISI INTZAR KI RAIT PE
Main bikhar gya hun hawaon me,
MuJe yaad rakhna duaon mein,
MUJHE YAAD RKHNA DUAON MEIN…