Tum jo kehtay thay zindagi kuch bhe nai teray bina
lekin ye kia k zindagi sub kuch hai teray bina
ab tu raat bhe kat jati hai din bhe gozar jata hai
sub waisa he hai kuch bhe tu nahi badla teray bina
teray janay pe jo rim-jhim se thi aakhoun main ab
thehar gaya hai wo aankhon ka samandar teray bina
wqt ne bohat kuch sikhla diya mujhay
***ab tu waqt bhi gozar jata hai teray bina
***shayed muhabbat karnay k aadaab he na thay
ab zindagi ne wo bhe sikhla diya teray bina
jo gozar gaya hai wqt so gozar gaya dost
jo reh gaya hai,gozar jaey ga teray bina