***Tere bina yun ghareyaan beeteen
Jaise sadeyaan beet gaeen
Khud manzil ko thukraaya hai
Majboori ke saaye hain
Tareeki mein hum ne apne
Dil ke daag jalaaye hain
Haar gaye do pyar bhare dil
Zaalim rasmain jeet gaeen
Loot liya halaat ne hum ko
Tera jahaan abaad rahay
Kash humein tu bhool hi jaaye
Pyar na tujh ko yaad rahay
Pat-jhar hi anjaam thaa jin ka
Ab woh bahaarain beet gaeen
Tere bina yun ghareyaan beeteen
Jaise sadeyaan beet gaeen …