~*~Tere Badan Say Choo kar~*~

Tere badan say choo kar jo idhar bhee aata hai
Misaal- e -rung woh jhoonka, nazar bhi aata hai

tamaam shab jahaan jalta hai ik udaas diya
Hawa ke raah mein ik aisa ghar bhi aata hai

woh mujh ko toot kay chahay ga, choor jaye ga
Mujhay khabar thee ussay yeah hunar bhi aata hai

Ujaar ban mein utarta hai aik jugnoo bhi
hawa kay sath koi humsafar bhi aata hai

Wafa ki koun see manzil pay uss nay choora tha
Keh woh tu yaad humain bhool kar bhi aata hai

Jahaan Lahoo kay samandar ki hud theharti hai
Waheen Jazeera- e- laal o guhar bhi aata hai

Challay jo zikar farishtoon ke par,sayee ka
Tu zair- e -behas muqaam- e- bashar bhi aata hai

Abhi sinaan ko sambhalay rahain doo mairay
Keh in safoon mein kaheen maira sar bhi aata hai

Kabhi kabhi mujhay milnay bulandiyoon say koye
Shoa- e- subah ki sourat utaar bhi aatar bhi aata hai

Issi liyeah mein kissi shaab na soo saka mohsin
Woh mahtaab kabhi baam par bhi aata hai..

(Mohsin Naqvi)

Re: ~~Tere Badan Say Choo kar~~

nice one :k:

Re: ~~Tere Badan Say Choo kar~~

Cha gai hay aap Aaina geee

Re: ~~Tere Badan Say Choo kar~~

Ab main kya kahoon----- :-)))

*Same here jeeeee...... *