~ Tere baad mere dil ka shehar weraan rehta hai ~


Yaad aajati hain jab bhi qurbattain teri
Aanso’oun ka silsila phir dair talak rawaan rehta hai

Jaanti hoon ke ab kabhi na aaoge tum is nagar
Phir bhi har aan teri aahat ka gumaan rehta hai

Ab tu zindagi mein kisi aur ko shaamil na kar paoongi
Ke is dil mein teri hi chaahat ka jahaan rehta hai

Koi bhi mehfil ho kaheen bhi chali jaoon
Mujhe tu har pal tera hi dheyaan rehta hai

Kaash koi maujza ho aur laut aao tum
Tere baad mere dil ka shehar weraan rehta hai

Nahee milta na sahi itna tu mujh ko yaqeen hai
Ke is shehar ki galeyoon mein mera mehmaan rehta hai…


:k:

:k: :flower2:

Thanks again Kamal and GS ...