tere ane ka dhoka sa raha hai

tere aane kaa dhokaa saa rahaa hai
diyaa saa raat bhar jaltaa rahaa hai


ajab hai raat se aaNkhoN kaa aalam,
ye dariyaa raat bhar chaRhtaa rahaa hai


sunaa hai raat bhar barsa hai baadal,
magar vo shah’r jo pyaasaa rahaa hai?


vo ko’ii dost thaa achche dinoN kaa,
jo pichhlii raat se yaad aa rahaa hai


kise DhuuNDoge in galiyoN meN “Nasir”?
chalo ab ghar chaleN, din jaa raha hai

Nice:)

Nice :-:)-:

Re: tere ane ka dhoka sa raha hai

nice, poem.
thanks for sharing, aeno..

very nice :k:

thnkooooooooooo sooooooo much :blush:

thnks 2 all :blush: