udaas raatien khizaa'N hUm safar safar gUm'naam
teray khyaal k mOsam hUmien tO maar ga'ey
na Jaa'N bharaktii hAi apni na raakh hOtey hAiN
hUmien ye kaisi mUseebat maiN tUm utaar ga'ey
ajeeb dUshman e jAan tha K bin larey jeeta
ajeeb jUng thi hUm Jis meiN haar haar ga'ey
bOhet hii thOri sii mOhlat mili mOhabbat kii
hUm apna aap magar jaatey jaatey waar ga'ey
kisi K bhaijey hOye aAa ga'ey thy dUnya meiN
kisi sey maangi hOii zindgii gUzaar ga'ey
na chand atka kisi Jaga na aadli'yaan atkien
hUm us kii raat k aa'ngaN meiN baar baar ga'ey