Teray khayaal k mausam humain tou maar gayey

**Siyaah hijr gaya , zard intezaar gayey
Kisi ka dard gaya dard k hisaar gayey


Udaas raat, khizaan humsafar,safar gumnaam
teray khayaal k mausam humain tou maar gayey

Naa jaan bharakti hay apni naa raakh hotey hain
Humain yeh kaisi museebat main tum utaar gayey

Ajeeb dushman-e-jaan tha k bin larey jeeta
Ajeeb jung thi hum jis main haar haar gayey

Bohat hee thori see muhallat mili muhabbat ki
Hum apna aap magar jaatey jaatey waar gayey

Kisi k bhaijey huay aagayey thay dunya main
Kisi say maangi hui zindagi guzaar gayey

Na chaand atqa kisi jaa na badliyaan atkeen
Hum uski raat k aangan main baar baar gayey!!

(Farhat Abbas Shah)
**

Re: Teray khayaal k mausam humain tou maar gayey

**Kisi k bhaijey huay aagayey thay dunya main
Kisi say maangi hui zindagi guzaar gayey

:(

100 gram zindagi wala gana yaad aa gaya
**

Re: Teray khayaal k mausam humain tou maar gayey

Aur mujhy is sher m Kuch wohi hi baat laghti hai k......
**
Laaeii Hayat aaey ,Qaza lay chali chaly
Apni khushi na aiey ,na apni khushi chaly**

Re: Teray khayaal k mausam humain tou maar gayey

*teray khayaal k mausam humain tou maar gayey *

So true :(