Teray gham ko jaan ki talash thi teray jaan nisar chalay gaye

**Teray gham ko jaan ki talash thi teray jaan nisar chalay gaye
Teri rah main kertay thay sar talab sar-e-rahguzar chalay gaye
**
**Teri kaj adayi say haar kay shab-e-intizar chali gayi
Meray zabt -e- haal say rooth kar meray ghamgusaar chalay gaye
**
**Na sawal-e-wasl, na arz-e-gham, na hikaitain na shikaitein
Teray ahd main dil-e-zar kay sabhi akhtiyar chalay gaye
**
**Yeh hamein thay jin kay lubas par sar-e-rah siahi likhi gayi
Yehi daagh thay jo saja kay ham sar-e-bazm-e-yaar chalay gaye
**
**Na raha janoon-e-rukh-e-wafa, yeh rasan yeh daar karogay kiya
Jinhain jurm-e-ishq pay naaz tha woh gonah gar chalay gaye

**
**

**

Re: Teray gham ko jaan ki talash thi teray jaan nisar chalay gaye

:lajawab: